Power of words is beyond imagination. Words can change the world. Every emotion (whether good or bad) which we feel in our day to day life is inspired by words. In this blog I am expressing words in the form of poems and short stories.
Thursday, 22 November 2012
Saturday, 13 October 2012
हमको बच्चे ही रहना है
हमको बच्चे ही रहना
है
नही बडे हमको
होना है
बडे लोग भेद-भाव करते
हैं
इसी बात पर
लडते हैं
मन मे उनके बैर है
मुँह पर मीठी
खीर हैं
वे हि हमें
पढाते हैं
किताबों मे ये
सब सिखाते हैं
हम सब हैं
भाई-भाई
नही करो भेद-भाव कि
कोई लडाई
मन मे बैर
न पालो तुम
हम तो मन
के सच्चे हैं
बडों से अच्छे बच्चे हैं
हमको बच्चे ही रहना
है
नही बडे हमको
होना है
बच्चा
हर बच्चा है एक सितारा
मम्मी का वो चाँद है प्यारा
पापा का वो
राज दुलारा
शैतानियों में वो
है निराला
Thursday, 11 October 2012
Zindagi- Ek Dagabaz
Zindagi ne jane kyun aise daga diya,
Waqt ne aj mujhko mujhse hi hara diya|
Aasuoon ki barish me aankhen jane kab dub gayi,
Kuch kahna chaha to zaban ne bhi sath na diya||
Kismat ne aisi karwat palti jakhm hi jakhm mil gaye,
In jakhmo ko jab bharna chaha to malham ne bhi sath na diya|
Socha tha badi masoom hoti hai ye zindagi,
Par zindagi tune bhi haiwaniyat ka roop dikha hi diya||
E zindagi jab chaha tujhe tune to sath na diya,
Maut ko jab apnana chaha usne bhi kyun apna hath peeche kar liya||
Socha tha pankh hote to ud jati sari duniya me,
Idhar fudakti udhar fudakti har pal shararat karti main|
Ummeed na thi aisa kuch kabhi hoga mere sath ,
E Zindagi kyun bina koi zulm kiye tune mujhe ek kaidi bana diya||
Kahte hain zindagi se pyar karo,
Ise na uhin barbad karo|
Ek hi bar milti hai ye zindagi,
Iski kadr karo aur ise sambhal k rakho|
Kya inhi baton ka fayeda uthakar, tune mujhe aj ek aktarfa deewana karar diya||
Dil hai jism hai jan hai junoon hai,
Such hai dukh hai khushi hai nirasha hai|
Pyar hai aur nafrat bhi sab kuch hai tujhme,
Phir kyun hatasha ka shikar hi tune aj mujhe bana diya||
Jab hatasha se nikalne ka rasta sochna chaha,
Soch kya hoti hai tune wo bhi bhula diya|
Tere pas to duniya me insano ki kami na thi,
Par mere pas to rab ki die k tu hi thi|
Phir kyun tune mujhe hi chun liya,
Kyun zindagi kyun tune mujhe is kadar daga diya||
Wo Bat Kahan
Duniya me nafrat kam nahi
Nahi hata paya tu agar thodi si bhi nafrat
To tujhme wo bat kahan
Sansar me jane kitne hain dukhi
Na de paya tu agar ek choti si muskan ek chehre par bhi
To tujhme wo bat kahan
Duniya me jane kitne maut ki chah rakhe hain
Na de paya tu agar unhe jeene ki wajah ek choti si bhi
To tujhme wo bat kahan
Apne liye to har koi karta hai
Na kar paya agar tu dusron ke liye kuch bhi
To tujhme wo bat kahan
Duniya me lakhon wajood har pal mitte rahte hain
Na rakh paya wajood tera kayam agar tu tere mitne ke bad bhi
To tujhme wo bat kahan
Chah
Chand par jane ki nahi
par use chune ki ek choti si chah hai
Suraj ki aag nahi
par us aag ki ek choti si chingari banne ki chah hai
Taron ko dekhti aankhon ka sukun to nahi
par us sukun ki choti si wajah banne ki chah hai
Phoolon ki nagri ka koi phool to nahi
par ek chote se phool ki mahak banne ki chah hai
Aasman me chaye jab bhi kale badal
thode se badal ko hata pane ki himmat ki choti si chah hai
Jyada sapne to nahi sajaye hain
bas do-char chote se sapne pure karne ki chah hai
Titliyon jaise pankh na chahun
par unke jaise udne ki chah hai
Samudra jaisi vishal to nahi
par uski ek lahar banne ki chah hai
Apni sabhi chahon ko pura karne ki himmat chahun
us himmat ko dil me saja dalne ki chah hai
Meri wo himmat ko kabhi maut na aye
us maut ko ane se pahle hi khatm kar du bas yahi choti si chah hai
Subscribe to:
Posts (Atom)
