Thursday, 11 October 2012

Chah



Chand par jane ki nahi
par use chune ki ek choti si chah hai

Suraj ki aag nahi
par us aag ki ek choti si chingari banne ki chah hai

Taron ko dekhti aankhon ka sukun to nahi
par us sukun ki choti si wajah banne ki chah hai

Phoolon ki nagri ka koi phool to nahi 
par ek chote se phool ki mahak banne ki chah hai

Aasman me chaye jab bhi kale badal
thode se badal ko hata pane ki himmat ki choti si chah hai

Jyada sapne to nahi sajaye hain 
bas do-char chote se sapne pure karne ki chah hai

Titliyon jaise pankh na chahun
par unke jaise udne ki chah hai

Samudra jaisi vishal to nahi
par uski ek lahar banne ki chah hai

Apni sabhi chahon ko pura karne ki himmat chahun
us himmat ko dil me saja dalne ki chah hai

Meri wo himmat ko kabhi maut na aye
us maut ko ane se pahle hi khatm kar du bas yahi choti si chah hai





No comments:

Post a Comment