Thursday, 11 October 2012

Zindagi- Ek Dagabaz




Zindagi ne jane kyun aise daga diya,
Waqt ne aj mujhko mujhse hi hara diya|

Aasuoon ki barish me aankhen jane kab dub gayi,
Kuch kahna chaha to zaban ne bhi sath na diya||

Kismat ne aisi karwat palti jakhm hi jakhm mil gaye,
In jakhmo ko jab bharna chaha to malham ne bhi sath na diya|

Socha tha badi masoom hoti hai ye zindagi,
Par zindagi tune bhi haiwaniyat ka roop dikha hi diya||

E  zindagi jab chaha tujhe tune to sath na diya,
Maut ko jab apnana chaha usne bhi kyun apna hath peeche kar liya||

Socha tha pankh hote to ud jati sari duniya me,
Idhar fudakti udhar fudakti har pal shararat karti main|

Ummeed na thi aisa kuch kabhi hoga mere sath ,
E Zindagi kyun bina koi zulm kiye tune mujhe ek kaidi bana diya||

Kahte hain zindagi se pyar karo,
Ise na uhin barbad karo|
Ek hi bar milti hai ye zindagi,
Iski kadr karo aur ise sambhal k rakho|

Kya inhi baton ka fayeda uthakar, tune mujhe aj ek aktarfa deewana karar diya||

Dil hai jism hai jan hai junoon hai,
Such hai dukh hai khushi hai nirasha hai|
Pyar hai aur nafrat bhi sab kuch hai tujhme,
Phir kyun hatasha ka shikar hi tune aj mujhe bana diya||

Jab hatasha se nikalne ka rasta sochna chaha,
Soch kya hoti hai tune wo bhi bhula diya|

Tere pas to duniya me insano ki kami na thi,
Par mere pas to rab ki die k tu hi thi|
Phir kyun tune mujhe hi chun liya,
Kyun zindagi kyun tune mujhe is kadar daga diya||

No comments:

Post a Comment